munh se jo kuchh bolo bhayya
muñh se jo kuchh bolo bhayyā
pahle us ko tolo bhayyā
bojh zarā kam ho jā.egā
yaad meñ un kī ro lo bhayyā
tanhā kab tak chalte rahoge
saath kisī ke holo bhayyā
ye galiyāñ badnām bahut haiñ
jald yahāñ se Dolo bhayyā
maiñ ne bhī ye siikh liyā hai
pyaar ho jis se bolo bhayyā
achchhā hai ye dard kisī kā
apne dil meñ samo lo bhayyā
der huī maiñ kaan dhare huuñ
darvāza to kholo bhayyā
munh se jo kuchh bolo bhayya
pahle us ko tolo bhayya
bojh zara kam ho jaega
yaad mein un ki ro lo bhayya
tanha kab tak chalte rahoge
sath kisi ke holo bhayya
ye galiyan badnam bahut hain
jald yahan se Dolo bhayya
main ne bhi ye sikh liya hai
pyar ho jis se bolo bhayya
achchha hai ye dard kisi ka
apne dil mein samo lo bhayya
der hui main kan dhare hun
darwaza to kholo bhayya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.