munjamid aaKHir hai kyun ta-hadd-e-manzar phail ja
munjamid aaKHir hai kyun ta-hadd-e-manzar phail ja
Rashid Anwar Rashid
MORE BYRashid Anwar Rashid
munjamid āḳhir hai kyuuñ tā-hadd-e-manzar phail jā
chaar jānib ai mire ḳhuuñ ke samundar phail jā
merī āvāra-mizājī kā rakhā tū ne bharam
ai ġhubār-e-dasht aa siine ke andar phail jā
aa tujhe apnī nazar se bhī rakhūñ mahfūz maiñ
shauq se mujh meñ samā andar hī andar phail jā
tazkaroñ kā oḌh jaama ai mirī zinda-dilī
har na.e qasbe meñ jā bastī meñ ghar ghar phail jā
āh-o-zārī chhoḌ apnī zaat se bāhar nikal
qahqahe kī guuñj ban kar āsmāñ par phail jā
munjamid aaKHir hai kyun ta-hadd-e-manzar phail ja
chaar jaanib ai mere KHun ke samundar phail ja
meri aawara-mizaji ka rakha tu ne bharam
ai ghubar-e-dasht aa sine ke andar phail ja
aa tujhe apni nazar se bhi rakhun mahfuz main
shauq se mujh mein sama andar hi andar phail ja
tazkaron ka oDh jama ai meri zinda-dili
har nae qasbe mein ja basti mein ghar ghar phail ja
aah-o-zari chhoD apni zat se bahar nikal
qahqahe ki gunj ban kar aasman par phail ja
- Book : Shaam Hote hi (Pg. 36)
- Author : Rashid Anwar Rashid
- Publication : Rashid Anwar Rashid (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.