Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kya hua ki tabiat sambhalti jati hai

Shahryar

ye kya hua ki tabiat sambhalti jati hai

Shahryar

MORE BYShahryar

    ye kyā huā ki tabī.at sambhaltī jaatī hai

    tire baġhair bhī ye raat Dhaltī jaatī hai

    us ik ufuq pe abhī tak hai e'tibār mujhe

    magar nigāh-e-manāzir badaltī jaatī hai

    chahār samt se gherā hai tez āñdhī ne

    kisī charāġh lau phir bhī jaltī jaatī hai

    maiñ apne jism sargoshiyoñ ko suntā huuñ

    tire visāl saa.at nikaltī jaatī hai

    ye dekho aa ga.ī mere zavāl manzil

    maiñ ruk gayā mirī parchhā.īñ chaltī jaatī hai

    ye kya hua ki tabiat sambhalti jati hai

    tere baghair bhi ye raat Dhalti jati hai

    us ek ufuq pe abhi tak hai e'tibar mujhe

    magar nigah-e-manazir badalti jati hai

    chahaar samt se ghera hai tez aandhi ne

    kisi charagh ki lau phir bhi jalti jati hai

    main apne jism ki sargoshiyon ko sunta hun

    tere visal ki saat nikalti jati hai

    ye dekho aa gai mere zawal ki manzil

    main ruk gaya meri parchhain chalti jati hai

    Source :
    • Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 336)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now