muntazir hai tabhi dawam mera
muntazir hai tabhī davām mirā
āgahī se bharā hai jaam mirā
ḳhud-baḳhud jā ke zaḳhm khā aa.uuñ
kaun letā hai intiqām mirā
raam ab tak mujhe pukārtā hai
gopiyāñ sun rahī haiñ naam mirā
mere ghaav pe hai namak maujūd
tujh se achchhā hai ehtimām mirā
nisbat-e-sher mujh ko hāsil hai
log karte haiñ ehtirām mirā
mujh se goyā.ī rab ne chhīnī hai
ḳhāmushī jaisā hai kalām mirā
muntazir hai tabhi dawam mera
aagahi se bhara hai jam mera
KHud-baKHud ja ke zaKHm kha aaun
kaun leta hai intiqam mera
ram ab tak mujhe pukarta hai
gopiyan sun rahi hain nam mera
mere ghaw pe hai namak maujud
tujh se achchha hai ehtimam mera
nisbat-e-sher mujh ko hasil hai
log karte hain ehtiram mera
mujh se goyai rab ne chhini hai
KHamushi jaisa hai kalam mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.