muntazir uske dila ta-ba-kuja baiThna
muntazir us ke dilā tā-ba-kujā baiThnā
shaam huī ab chalo sub.h phir aa baiThnā
hosh rahā ne qarār diin rahā aur na dil
paas butoñ ke hameñ ḳhuub na thā baiThnā
lutf se ai dil tujhe us ke jo abrū biThā.e
baiThiyo lekin bahut paas na jā baiThnā
dil kī hamārī ġharaz bāñdhe hai kyā band band
shoḳh kā vo khol kar band-e-qabā baiThnā
kūche meñ us shoḳh ke jaate to ho ai nazīr
jul meñ kahīñ apnī chaah tum na jatā baiThnā
muntazir us ke dila ta-ba-kuja baiThna
sham hui ab chalo subh phir aa baiThna
hosh raha ne qarar din raha aur na dil
pas buton ke hamein KHub na tha baiThna
lutf se ai dil tujhe us ke jo abru biThae
baiThiyo lekin bahut pas na ja baiThna
dil ki hamari gharaz bandhe hai kya band band
shoKH ka wo khol kar band-e-qaba baiThna
kuche mein us shoKH ke jate to ho ai nazir
jul mein kahin apni chah tum na jata baiThna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.