muqabil hai jo mere aks ke us aaine mein hun
muqābil hai jo mire aks ke us aa.ine meñ huuñ
maiñ ḳhud par munkashif hone ke nāzuk marhale meñ huuñ
ḳhudī ke moḌ par huuñ aap hī maiñ muntazir apnī
ta.āruf kī na.ī manzil ke pahle rāste meñ huuñ
kashish terī sahī gardish mirī apnī hai ai mehvar
tire hī gard huuñ lekin maiñ apne dā.ere meñ huuñ
abhī is raushnī kī asliyat kā raaz mat kholo
abhī maiñ chāñdnī ke pur-fusūñ hairat-kade meñ huuñ
tasalsul saath hai mere mujhe tabdīl karne kā
azal se jārī-o-sārī fanā ke silsile meñ huuñ
safar meñ chal rahā hai ḳhauf sā aapas meñ luTne kā
ye kaisī raah par huuñ maiñ ye kaise qāfile meñ huuñ
abhī tark-e-ta.alluq ke kisī barzaḳh meñ hai vo bhī
abhī mahfūz hai jo maiñ bhī aise faisle meñ huuñ
havā ne yuuñ tasallī dī hai aksar ret nagrī ko
idhar ā.eñge āḳhir bādaloñ se rābte meñ huuñ
zamīnī mushkiloñ ke hal kī fursat hī kahāñ mujh ko
bahut uljhī huī ik āsmānī mas.ale meñ huuñ
muqabil hai jo mere aks ke us aaine mein hun
main KHud par munkashif hone ke nazuk marhale mein hun
KHudi ke moD par hun aap hi main muntazir apni
taaruf ki nai manzil ke pahle raste mein hun
kashish teri sahi gardish meri apni hai ai mehwar
tere hi gard hun lekin main apne daere mein hun
abhi is raushni ki asliyat ka raaz mat kholo
abhi main chandni ke pur-fusun hairat-kade mein hun
tasalsul sath hai mere mujhe tabdil karne ka
azal se jari-o-sari fana ke silsile mein hun
safar mein chal raha hai KHauf sa aapas mein luTne ka
ye kaisi rah par hun main ye kaise qafile mein hun
abhi tark-e-talluq ke kisi barzaKH mein hai wo bhi
abhi mahfuz hai jo main bhi aise faisle mein hun
hawa ne yun tasalli di hai aksar ret nagri ko
idhar aaenge aaKHir baadalon se rabte mein hun
zamini mushkilon ke hal ki fursat hi kahan mujh ko
bahut uljhi hui ek aasmani masale mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.