muqabla hai gham-o-alam ka to samna ranj-o-be-kasi ka
muqabla hai gham-o-alam ka to samna ranj-o-be-kasi ka
Ehsas Muradabadi
MORE BYEhsas Muradabadi
muqābla hai ġham-o-alam kā to sāmnā ranj-o-be-kasī kā
rah-e-mohabbat meñ har qadam par nishān miltā hai zindagī kā
isī mohabbat meñ ham pe guzrā ik aisā 'ālam bhī tīrgī kā
banā liyā āftāb ham ne milā jo zarra bhī raushnī kā
yakāyak ik huuk dil meñ uTThī palaT gayā rañg zindagī kā
ba-ḳhair yādash mire laboñ par abhī abhī naam thā kisī kā
jahāñ se dekho fasāna-e-ġham banī huī iztirāb-e-paiham
hoñ terī nazreñ bhī jis se barham kareñge kyā aisī zindagī kā
ye ahd-e-ġham kī nahīñ hikāyat thī is se pahle bhī aisī hālat
vahīñ pe Thahrī nigāh-e-ulfat jo rañg dekhā shikastagī kā
jo dil pe paiham hai bārish-e-ġham mohabbateñ ho rahī haiñ mohkam
izāfa kartā hai zindagī meñ jo din guzartā hai zindagī kā
bayān-e-ġham kī latāfateñ haiñ mohabbatoñ kī nazākateñ haiñ
vagarna 'ehsās' sach to ye hai salīqa kyā mujh ko shā'irī kā
muqabla hai gham-o-alam ka to samna ranj-o-be-kasi ka
rah-e-mohabbat mein har qadam par nishan milta hai zindagi ka
isi mohabbat mein hum pe guzra ek aisa 'alam bhi tirgi ka
bana liya aaftab hum ne mila jo zarra bhi raushni ka
yakayak ek huk dil mein uTThi palaT gaya rang zindagi ka
ba-KHair yaadash mere labon par abhi abhi nam tha kisi ka
jahan se dekho fasana-e-gham bani hui iztirab-e-paiham
hon teri nazren bhi jis se barham karenge kya aisi zindagi ka
ye ahd-e-gham ki nahin hikayat thi is se pahle bhi aisi haalat
wahin pe Thahri nigah-e-ulfat jo rang dekha shikastagi ka
jo dil pe paiham hai barish-e-gham mohabbaten ho rahi hain mohkam
izafa karta hai zindagi mein jo din guzarta hai zindagi ka
bayan-e-gham ki latafaten hain mohabbaton ki nazakaten hain
wagarna 'ehsas' sach to ye hai saliqa kya mujh ko sha'iri ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.