muqable ke na hum dushmani ke qabil hain
muqāble ke na ham dushmanī ke qābil haiñ
zahīn log haiñ bas āshiqī ke qābil haiñ
jo apnī marzī kā socheñ tum un ko dafnā do
ki aisī laḌkiyāñ kab ruḳhsatī ke qābil haiñ
dukhī nahīñ haiñ ki ham kyoñ hue nazar-andāz
hameñ patā hai ki ham be-ruḳhī ke qābil haiñ
hameñ Darāyā gayā kab sikhāyā DaT jaanā
ham aise log faqat ājizī ke qābil haiñ
laḌā.ī ham ko virāsat meñ dī ga.ī hai huzūr
ham ahl-e-jañg kahāñ shā.irī ke qābil haiñ
kisī vabā meñ ḳhudā ham ko mubtalā karegā
ham aise log kahāñ ḳhud-kushī ke qābil haiñ
muqable ke na hum dushmani ke qabil hain
zahin log hain bas aashiqi ke qabil hain
jo apni marzi ka sochen tum un ko dafna do
ki aisi laDkiyan kab ruKHsati ke qabil hain
dukhi nahin hain ki hum kyon hue nazar-andaz
hamein pata hai ki hum be-ruKHi ke qabil hain
hamein Daraya gaya kab sikhaya DaT jaana
hum aise log faqat aajizi ke qabil hain
laDai hum ko wirasat mein di gai hai huzur
hum ahl-e-jang kahan shairi ke qabil hain
kisi waba mein KHuda hum ko mubtala karega
hum aise log kahan KHud-kushi ke qabil hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.