muqaddar ko badalna chahta hun
muqaddar ko badalnā chāhtā huuñ
tumhāre saath chalnā chāhtā huuñ
na-jāne kyā kashish hai tujh meñ aisī
tirī ḳhātir maiñ jalnā chāhtā huuñ
koī to ho jo merā haath thāme
maiñ ye duniyā badalnā chāhtā huuñ
mujhe Thokar na maaro aasrā do
mire yaaro sambhalnā chāhtā huuñ
jinheñ chhūne se zaḳhmī ho hathelī
maiñ aise gul kuchalnā chāhtā huuñ
muqaddar ko badalna chahta hun
tumhaare sath chalna chahta hun
na-jaane kya kashish hai tujh mein aisi
teri KHatir main jalna chahta hun
koi to ho jo mera hath thame
main ye duniya badalna chahta hun
mujhe Thokar na maro aasra do
mere yaro sambhalna chahta hun
jinhen chhune se zaKHmi ho hatheli
main aise gul kuchalna chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.