murattab aur bhi ek goshwara ho raha hai
murattab aur bhī ik goshvāra ho rahā hai
to kyā hai gar abhī ham ko ḳhasāra ho rahā hai
hamāre paas to ham se ziyāda tū nahīñ thā
so tū kyā ab to ḳhud se bhī kināra ho rahā hai
hamāre ḳhvāb meñ ahmiyat-e-shab thī ziyāda
so ab vo ḳhvāb āñkhoñ meñ sitāra ho rahā hai
tumhārī aarzū hone se pahle bhī to ham the
guzāra ho rahā thā so guzāra ho rahā hai
hayā-ālūd āñkheñ haiñ na āñchal hai na chilman
ye kis vīrān duniyā kā nazāra ho rahā hai
abhī ham faisla karne kī ujlat meñ nahīñ haiñ
magar lagtā hai jiine se ḳhasāra ho rahā hai
ḳhalā se is zamīñ par sañg-rezo kī ye bārish
kisī jānib se kyā koī ishāra ho rahā hai
murattab aur bhi ek goshwara ho raha hai
to kya hai gar abhi hum ko KHasara ho raha hai
hamare pas to hum se ziyaada tu nahin tha
so tu kya ab to KHud se bhi kinara ho raha hai
hamare KHwab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada
so ab wo KHwab aankhon mein sitara ho raha hai
tumhaari aarzu hone se pahle bhi to hum the
guzara ho raha tha so guzara ho raha hai
haya-alud aankhen hain na aanchal hai na chilman
ye kis viran duniya ka nazara ho raha hai
abhi hum faisla karne ki ujlat mein nahin hain
magar lagta hai jine se KHasara ho raha hai
KHala se is zamin par sang-rezo ki ye barish
kisi jaanib se kya koi ishaara ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.