musafir raste mein hai abhi tak
musāfir rāste meñ hai abhī tak
nahīñ pahuñchā ujālā tīrgī tak
guloñ meñ chāñd khilne ke ye din haiñ
magar khiltī nahīñ hai ik kalī tak
zarā sā dard aur itnī davā.eñ
pasand aa.ī nahīñ chāragarī tak
barahna jism par do-chār dhabbe
tamāshā dekhte haiñ ajnabī tak
vo aisī qīmtī shai bhī nahīñ thī
luTī to yaad aatī hai abhī tak
likhā ḳhanjar se terā naam dil par
hameñ aatī nahīñ dīvāngī tak
use tasvīr karne kī lagan meñ
'ibādī' bhuul baiThe ḳhud-kushī tak
musafir raste mein hai abhi tak
nahin pahuncha ujala tirgi tak
gulon mein chand khilne ke ye din hain
magar khilti nahin hai ek kali tak
zara sa dard aur itni dawaen
pasand aai nahin chaaragari tak
barahna jism par do-chaar dhabbe
tamasha dekhte hain ajnabi tak
wo aisi qimti shai bhi nahin thi
luTi to yaad aati hai abhi tak
likha KHanjar se tera nam dil par
hamein aati nahin diwangi tak
use taswir karne ki lagan mein
'ibaadi' bhul baiThe KHud-kushi tak
- Book : khush ahjaar (Pg. 85)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.