musafiron ki tarah rahguzar mein rahta hai
musāfiroñ kī tarah rahguzar meñ rahtā hai
ye rāsta bhī musalsal safar meñ rahtā hai
har ek kamre meñ ā.īna is liye rakkhā
lage ki koī mire saath ghar meñ rahtā hai
koī lagā le agar ek kash udāsī kā
to phir vo umr bhar us ke asar meñ rahtā hai
ajiib haal hai tujh se bichhaḌ ke bhī ab tak
ye dil tujhī se bichhaḌne ke Dar meñ rahtā hai
agar maiñ jaan bhī de duuñ to koī uf na kare
agar vo uf bhī kare to ḳhabar meñ rahtā hai
musafiron ki tarah rahguzar mein rahta hai
ye rasta bhi musalsal safar mein rahta hai
har ek kamre mein aaina is liye rakkha
lage ki koi mere sath ghar mein rahta hai
koi laga le agar ek kash udasi ka
to phir wo umr bhar us ke asar mein rahta hai
ajib haal hai tujh se bichhaD ke bhi ab tak
ye dil tujhi se bichhaDne ke Dar mein rahta hai
agar main jaan bhi de dun to koi uf na kare
agar wo uf bhi kare to KHabar mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.