musalsal ek jahan-e-rang-o-bu hai
musalsal ik jahān-e-rang-o-bū hai
jidhar dekhā udhar bas tū hī tū hai
koī mujh ko bhī nāmūs-e-vafā de
mirī duniyā baḌī be-ābrū hai
abhī ġham kā nahīñ ulfat meñ irfāñ
abhī manzil kī mujh ko justujū hai
mujhe ik baar dekhā thā kisī ne
abhī tak har sū us kī guftugū hai
bahut aise haiñ jo fir.aun-e-fan haiñ
magar un kī haqīqat hā-o-hū hai
musalsal ek jahan-e-rang-o-bu hai
jidhar dekha udhar bas tu hi tu hai
koi mujh ko bhi namus-e-wafa de
meri duniya baDi be-abru hai
abhi gham ka nahin ulfat mein irfan
abhi manzil ki mujh ko justuju hai
mujhe ek bar dekha tha kisi ne
abhi tak har su us ki guftugu hai
bahut aise hain jo firaun-e-fan hain
magar un ki haqiqat ha-o-hu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.