mushaf-e-ruKHsar par zulf-e-pareshan dekh kar
mus.haf-e-ruḳhsār par zulf-e-pareshāñ dekh kar
huuñ pareshāñ kufr ke saa.e meñ īmāñ dekh kar
ai sitam-ījād ai ġhārat-gar-e-sabr-o-sukūñ
dil pareshāñ hai tirī zulf-e-pareshāñ dekh kar
josh-e-vahshat meñ jo aa niklā maiñ gulshan kī taraf
hañs paḌe haiñ gul mirā chāk-e-garebāñ dekh kar
mauj-e-bahr-e-ġham se kheleñ kyoñ na āshufta-mizāj
himmat-e-dil aur baḌh jaatī hai tūfāñ dekh kar
sirf sabza hī nahīñ jaur-e-ḳhizāñ se pā.emāl
hai kalī bhī muzmahil rang-e-gulistāñ dekh kar
un kī yaad aate hī dil yuuñ kaañp uThtā hai 'riyāz'
jis tarah chauñke koī ḳhvāb-e-pareshāñ dekh kar
mushaf-e-ruKHsar par zulf-e-pareshan dekh kar
hun pareshan kufr ke sae mein iman dekh kar
ai sitam-ijad ai ghaarat-gar-e-sabr-o-sukun
dil pareshan hai teri zulf-e-pareshan dekh kar
josh-e-wahshat mein jo aa nikla main gulshan ki taraf
hans paDe hain gul mera chaak-e-gareban dekh kar
mauj-e-bahr-e-gham se khelen kyon na aashufta-mizaj
himmat-e-dil aur baDh jati hai tufan dekh kar
sirf sabza hi nahin jaur-e-KHizan se paemal
hai kali bhi muzmahil rang-e-gulistan dekh kar
un ki yaad aate hi dil yun kanp uThta hai 'riyaz'
jis tarah chaunke koi KHwab-e-pareshan dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.