mushk-dani mein hi KHushbu ko dabae rakhna
mushk-dānī meñ hī ḳhushbū ko dabā.e rakhnā
us se mushkil hai mohabbat ko chhupā.e rakhnā
kar ke chhoḌegī vo nafrat ko kabhī ḳhākistar
dil meñ ik aag mohabbat kī lagā.e rakhnā
maiñ kabhī bhī tirī dahlīz pe aa saktā huuñ
apnī palkoñ ko sar-e-rāh bichhā.e rakhnā
āj-kal ahl-e-siyāsat kā hunar hai ye to
pas-e-muskān kudūrat ko chhupā.e rakhnā
garche hālāt mohabbat meñ hoñ kuchh bhī lekin
tum pe lāzim hai qadam apne jamā.e rakhnā
zālimoñ ko hai ujāle kī zarūrat 'hādī'
abhī chhappar kahī bastī meñ jalā.e rakhnā
mushk-dani mein hi KHushbu ko dabae rakhna
us se mushkil hai mohabbat ko chhupae rakhna
kar ke chhoDegi wo nafrat ko kabhi KHakistar
dil mein ek aag mohabbat ki lagae rakhna
main kabhi bhi teri dahliz pe aa sakta hun
apni palkon ko sar-e-rah bichhae rakhna
aaj-kal ahl-e-siyasat ka hunar hai ye to
pas-e-muskan kudurat ko chhupae rakhna
garche haalat mohabbat mein hon kuchh bhi lekin
tum pe lazim hai qadam apne jamae rakhna
zalimon ko hai ujale ki zarurat 'hadi'
abhi chhappar kahi basti mein jalae rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.