mushkil din bhi aae lekin farq na aaya yari mein
mushkil din bhī aa.e lekin farq na aaya yaarī meñ
ham ne puurī jaan lagā.ī us kī tābedārī meñ
be-īmānī karte to phir shāyad jiit ke aa jaate
chāhe haar ke vāpas aa.e khele apnī baarī meñ
mīThe mīThe hoñT hilā.e kaḌvī kaḌvī bāteñ kī
kīkar aur gulāb lagāyā us ne ek kiyārī meñ
terī jānib uThne vaalī āñkhoñ kā ruḳh moḌ liyā
ham ne apne aib dikhā.e terī parda-dārī meñ
jaane ab vo kis ke saath nikaltā hogā rātoñ ko
jaane kaun lagātā hogā do ghanTe tayyārī meñ
mushkil din bhi aae lekin farq na aaya yari mein
hum ne puri jaan lagai us ki tabedari mein
be-imani karte to phir shayad jit ke aa jate
chahe haar ke wapas aae khele apni bari mein
miThe miThe honT hilae kaDwi kaDwi baaten ki
kikar aur gulab lagaya us ne ek kiyari mein
teri jaanib uThne wali aankhon ka ruKH moD liya
hum ne apne aib dikhae teri parda-dari mein
jaane ab wo kis ke sath nikalta hoga raaton ko
jaane kaun lagata hoga do ghanTe tayyari mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.