mushkil gale lagane se hal bhi nahin hui
mushkil gale lagāne se hal bhī nahīñ huī
kitne dinoñ se ek ġhazal bhī nahīñ huī
hairat tumhāre gaal pe hai zard ho gayā
hairat hai apnī aañkh pe shal bhī nahīñ huī
is baar us ke saa.e meñ aisā sukūñ milā
aisā sukūñ ki ḳhvāhish-e-phal bhī nahīñ huī
tum ne to ḳhair saare jahāñ par yaqīñ kiyā
ham se to ittibā-e-rusal bhī nahīñ huī
mushkil gale lagane se hal bhi nahin hui
kitne dinon se ek ghazal bhi nahin hui
hairat tumhaare gal pe hai zard ho gaya
hairat hai apni aankh pe shal bhi nahin hui
is bar us ke sae mein aisa sukun mila
aisa sukun ki KHwahish-e-phal bhi nahin hui
tum ne to KHair sare jahan par yaqin kiya
hum se to ittiba-e-rusal bhi nahin hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.