mushkil hai lekin aasani ek si lagti hai
mushkil hai lekin āsānī ek sī lagtī hai
sab ke hisse kī tanhā.ī ek sī lagtī hai
ghar ke andar kī vīrānī apnī apnī sī
ghar se bāhar kī vīrānī ek sī lagtī hai
ik chehra hai aur usī se sab chehre mansūb
ab in āñkhoñ meñ har bastī ek sī lagtī hai
apnā apnā maslak Thahrā apnā apnā ishq
avval avval shab-bedārī ek sī lagtī hai
kaisā qālib kaisī rangat kaise ḳhatt-o-ḳhāl
un hāthoñ meñ saarī miTTī ek sī lagtī hai
mushkil hai lekin aasani ek si lagti hai
sab ke hisse ki tanhai ek si lagti hai
ghar ke andar ki virani apni apni si
ghar se bahar ki virani ek si lagti hai
ek chehra hai aur usi se sab chehre mansub
ab in aankhon mein har basti ek si lagti hai
apna apna maslak Thahra apna apna ishq
awwal awwal shab-bedari ek si lagti hai
kaisa qalib kaisi rangat kaise KHatt-o-KHal
un hathon mein sari miTTi ek si lagti hai
- Book : Ishq (Pg. 48)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.