mushkil hai pata chalna qisson se mohabbat ka
mushkil hai pata chalnā qissoñ se mohabbat kā
andāza musībat meñ hotā hai musībat kā
hai naza.a ke aalam meñ bīmār mohabbat kā
mushkil hai sambhalnā ab bigḌī huī hālat kā
afsos ki ham so kar jaage bhī to kab jaage
marne pe khulā uqda jiine kī haqīqat kā
vo aa.e haiñ ḳhud apne dīvāne ko samjhāne
ai jazba-e-dil dekhā iqbāl mohabbat kā
ai chashm-e-haqīqat-bīñ dil kī hai bisāt itnī
ik chhoTā sā TukḌā hai ā.īna-e-hasrat kā
kyuuñ ishq ke jhagḌe ko le jaatā hai uqbā meñ
kar ḳhātma duniyā meñ duniyā kī musībat kā
ai 'qadr' hasīnoñ ko maiñ dil se na kyuuñ chāhūñ
jab husn-parastī bhī ik zauq hai fitrat kā
mushkil hai pata chalna qisson se mohabbat ka
andaza musibat mein hota hai musibat ka
hai naza ke aalam mein bimar mohabbat ka
mushkil hai sambhalna ab bigDi hui haalat ka
afsos ki hum so kar jage bhi to kab jage
marne pe khula uqda jine ki haqiqat ka
wo aae hain KHud apne diwane ko samjhane
ai jazba-e-dil dekha iqbaal mohabbat ka
ai chashm-e-haqiqat-bin dil ki hai bisat itni
ek chhoTa sa TukDa hai aaina-e-hasrat ka
kyun ishq ke jhagDe ko le jata hai uqba mein
kar KHatma duniya mein duniya ki musibat ka
ai 'qadr' hasinon ko main dil se na kyun chahun
jab husn-parasti bhi ek zauq hai fitrat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.