mushkil ko zara chhoD ke aasan ke bare
mushkil ko zarā chhoḌ ke āsān ke baare
kuchh soch mirī tañgī-e-dāmān ke baare
ik tere bulāve pe bahal jaatā hai varna
ma.alūm hai mujh ko dil-e-nādān ke baare
āġhāz-e-mohabbat meñ tavakkul hai zarūrī
mat soch kisī fā.eda nuqsān ke baare
is shahr meñ har shaḳhs ko sone kī paḌī hai
hālāñki batāyā bhī hai tūfān ke baare
is bastī-e-ḳhush-āb kī pur-kaif fazā.eñ
kab sochne detī haiñ paristān ke baare
khone kī tujhe mujh ko vahī fikr hai lāhiq
hotī hai musāfir ko jo sāmān ke baare
'ājiz' tirī duniyā ke ye insān ajab haiñ
insān ko bahkāte haiñ yazdān ke baare
mushkil ko zara chhoD ke aasan ke bare
kuchh soch meri tangi-e-daman ke bare
ek tere bulawe pe bahal jata hai warna
malum hai mujh ko dil-e-nadan ke bare
aaghaz-e-mohabbat mein tawakkul hai zaruri
mat soch kisi faeda nuqsan ke bare
is shahr mein har shaKHs ko sone ki paDi hai
haalanki bataya bhi hai tufan ke bare
is basti-e-KHush-ab ki pur-kaif fazaen
kab sochne deti hain paristan ke bare
khone ki tujhe mujh ko wahi fikr hai lahiq
hoti hai musafir ko jo saman ke bare
'ajiz' teri duniya ke ye insan ajab hain
insan ko bahkate hain yazdan ke bare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.