mushkilon se jo Dar gae hote
mushkiloñ se jo Dar ga.e hote
zinda kab rahte mar ga.e hote
vo na karte jo rahbarī apnī
ham na jaane kidhar ga.e hote
ghar hamārā agar nahīñ hotā
hādse kis ke ghar ga.e hote
shahr kī zindagī se behtar thā
gaañv meñ apne mar ga.e hote
kaash ham bhī kisī kī rāhoñ meñ
ḳhaak ban kar bikhar ga.e hote
zindagī meñ kabhī 'na'īm' aañsū
do ghaḌī to Thahar ga.e hote
mushkilon se jo Dar gae hote
zinda kab rahte mar gae hote
wo na karte jo rahbari apni
hum na jaane kidhar gae hote
ghar hamara agar nahin hota
hadse kis ke ghar gae hote
shahr ki zindagi se behtar tha
ganw mein apne mar gae hote
kash hum bhi kisi ki rahon mein
KHak ban kar bikhar gae hote
zindagi mein kabhi 'na'im' aansu
do ghaDi to Thahar gae hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.