musībat thī hamāre hī liye kyuuñ
ye maanā ham jiye lekin jiye kyuuñ
na aanā aur phir ilzām denā
ki itne be-asar naale kiye kyuuñ
pas-e-ḳhum piine meñ hai kyā buzurgī
jo piinā hai to phir chhup kar piye kyuuñ
jo dī thī husn meñ ye dil-farebī
mujhe hosh-o-havās itne diye kyuuñ
ḳhayāl-e-jumbish-e-mizhgāñ na rakkhā
hamāre zaḳhm meñ Tāñke diye kyuuñ
'azīz' ilzām detā hai mujhe zabt
na thī tāsīr to naale kiye kyuuñ
musibat thi hamare hi liye kyun
ye mana hum jiye lekin jiye kyun
na aana aur phir ilzam dena
ki itne be-asar nale kiye kyun
pas-e-KHum pine mein hai kya buzurgi
jo pina hai to phir chhup kar piye kyun
jo di thi husn mein ye dil-farebi
mujhe hosh-o-hawas itne diye kyun
KHayal-e-jumbish-e-mizhgan na rakkha
hamare zaKHm mein Tanke diye kyun
'aziz' ilzam deta hai mujhe zabt
na thi tasir to nale kiye kyun
Source :
- Gulkadah(Majmua-e-Ghazliyat)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.