musibaten sar-barahna hongi aqidaten be-libas hongi
musībateñ sar-barahna hoñgī aqīdateñ be-libās hoñgī
thake huoñ ko kahāñ pata thā ki sub.heñ yuuñ bad-havās hoñgī
tū dekh lenā hamāre bachchoñ ke baal jaldī safed hoñge
hamārī chhoḌī huī udāsī se saat nasleñ udaas hoñgī
kahīñ mileñ tum ko bhūrī rañgat kī gahrī āñkheñ mujhe batānā
maiñ jāntā huuñ ki aisī āñkheñ bahut aziyyat-shanās hoñgī
maiñ sardiyoñ kī ThiThurtī shāmoñ ke sard lamhoñ meñ sochtā huuñ
vo surḳh hāthoñ kī garm poreñ na-jāne ab kis ko raas hoñgī
ye jis kī beTī ke sar kī chādar ka.ī jagah se phaTī huī hai
tum us ke gaañv meñ jā ke dekho to aadhī fasleñ kapās hoñgī
musibaten sar-barahna hongi aqidaten be-libas hongi
thake huon ko kahan pata tha ki subhen yun bad-hawas hongi
tu dekh lena hamare bachchon ke baal jaldi safed honge
hamari chhoDi hui udasi se sat naslen udas hongi
kahin milen tum ko bhuri rangat ki gahri aankhen mujhe batana
main jaanta hun ki aisi aankhen bahut aziyyat-shanas hongi
main sardiyon ki ThiThurti shamon ke sard lamhon mein sochta hun
wo surKH hathon ki garm poren na-jaane ab kis ko ras hongi
ye jis ki beTi ke sar ki chadar kai jagah se phaTi hui hai
tum us ke ganw mein ja ke dekho to aadhi faslen kapas hongi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.