muskan labon par aankhon mein taron ka sajaana mushkil hai
muskān laboñ par āñkhoñ meñ tāroñ kā sajānā mushkil hai
dil toḌnā hai āsāñ lekin rote ko hañsānā mushkil hai
hai kāñch sifat dil siine meñ jab TūTtā hai phir juḌtā nahīñ
jis chiiz se dil uTh jaatā hai phir us se lagānā mushkil hai
ai bulbul-e-dil yuuñ ġham pī kar mat chahak ki ab lab ko sī le
sab saaz burīda-hāl hue ab raag purānā mushkil hai
ai ḳhair-talab afrād chalo apnī jāneñ qurbān kareñ
be-ḳhūn bahā.e duniyā ko ġhaflat se jagānā mushkil hai
tum kāġhzī kashtī meñ dariyā ko paar karo tab samjhoge
ashkoñ se labālab āñkhoñ meñ kyuuñ ḳhvāb sajānā mushkil hai
maanā ki muqaddar hai furqat lāzim hai judā.ī bhī lekin
in sard añdherī rātoñ meñ dil ko samjhānā mushkil hai
muskan labon par aankhon mein taron ka sajaana mushkil hai
dil toDna hai aasan lekin rote ko hansana mushkil hai
hai kanch sifat dil sine mein jab TuTta hai phir juDta nahin
jis chiz se dil uTh jata hai phir us se lagana mushkil hai
ai bulbul-e-dil yun gham pi kar mat chahak ki ab lab ko si le
sab saz burida-haal hue ab rag purana mushkil hai
ai KHair-talab afrad chalo apni jaanen qurban karen
be-KHun bahae duniya ko ghaflat se jagana mushkil hai
tum kaghzi kashti mein dariya ko par karo tab samjhoge
ashkon se labaalab aankhon mein kyun KHwab sajaana mushkil hai
mana ki muqaddar hai furqat lazim hai judai bhi lekin
in sard andheri raaton mein dil ko samjhana mushkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.