muskura den to koi KHair-KHabar aa jae
muskurā deñ to koī ḳhair-ḳhabar aa jaa.e
huuñ jo barham to kaTā tasht meñ sar aa jaa.e
dosto raah meñ manzil ke nishāñ bhī dekho
chalte chalte na phir āġhāz-e-safar aa jaa.e
munfarid husn kī dushvār hai parda-dārī
sau hijāboñ meñ bhī andāz nazar aa jaa.e
raat kī baat rahe parda-e-tārīkī meñ
shaam kā bhūlā agar sub.h ko ghar aa jaa.e
itnī ma.asūm sī ḳhvāhish bhī to puurī na huī
ḳhud-baḳhud raat guzarne pe sahar aa jaa.e
muskura den to koi KHair-KHabar aa jae
hun jo barham to kaTa tasht mein sar aa jae
dosto rah mein manzil ke nishan bhi dekho
chalte chalte na phir aaghaz-e-safar aa jae
munfarid husn ki dushwar hai parda-dari
sau hijabon mein bhi andaz nazar aa jae
raat ki baat rahe parda-e-tariki mein
sham ka bhula agar subh ko ghar aa jae
itni masum si KHwahish bhi to puri na hui
KHud-baKHud raat guzarne pe sahar aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.