muskura kar guzar gaya koi
muskurā kar guzar gayā koī
mujh pe jaadū sā kar gayā koī
pahle tanhā.iyoñ se Dartā thā
ab zamāne se Dar gayā koī
ye lagā ruuh jism chhoḌ ga.ī
jab mujhe chhoḌ kar gayā koī
jab se dekhā use raqīb ke saath
mere dil se utar gayā koī
gir paḌī dil pe ek bijlī sī
kar ke vā'da mukar gayā koī
muskura kar guzar gaya koi
mujh pe jadu sa kar gaya koi
pahle tanhaiyon se Darta tha
ab zamane se Dar gaya koi
ye laga ruh jism chhoD gai
jab mujhe chhoD kar gaya koi
jab se dekha use raqib ke sath
mere dil se utar gaya koi
gir paDi dil pe ek bijli si
kar ke wa'da mukar gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.