muskura sakta nahin aansu baha sakta nahin
muskurā saktā nahīñ aañsū bahā saktā nahīñ
zindagī ab maiñ tire ehsāñ uThā saktā nahīñ
jo shikast-e-ārzū par muskurā saktā nahīñ
zindagī kī azmatoñ kā raaz pā saktā nahīñ
tālibān-e-rañg-o-bū kāñToñ se dāman-kash na hoñ
shāḳh-e-gul tak yuuñ kisī kā haath jā saktā nahīñ
tujh se mil kar jaane kyuuñ hotā hai ye mujh ko gumāñ
tujh ko kho saktā huuñ lekin tujh ko pā saktā nahīñ
mutma.in huuñ maiñ ki zinda hai mirī tab-e-ġhayūr
merī ḳhuddārī pe koī harf aa saktā nahīñ
sham-e-giryāñ ko bhalā kyā azmat-e-ġham kī ḳhabar
koī parvāna kabhī aañsū bahā saktā nahīñ
tujh se milne kī tamannā hai ki tujh se rah ke duur
e'tibār-e-hastī-e-mauhūm aa saktā nahīñ
'lais' maiñ rakhtā huuñ pahlū meñ dil-e-dard-āshnā
bhuul kar bhī maiñ kisī kā dil dukhā saktā nahīñ
muskura sakta nahin aansu baha sakta nahin
zindagi ab main tere ehsan uTha sakta nahin
jo shikast-e-arzu par muskura sakta nahin
zindagi ki azmaton ka raaz pa sakta nahin
taliban-e-rang-o-bu kanTon se daman-kash na hon
shaKH-e-gul tak yun kisi ka hath ja sakta nahin
tujh se mil kar jaane kyun hota hai ye mujh ko guman
tujh ko kho sakta hun lekin tujh ko pa sakta nahin
mutmain hun main ki zinda hai meri tab-e-ghayur
meri KHuddari pe koi harf aa sakta nahin
sham-e-giryan ko bhala kya azmat-e-gham ki KHabar
koi parwana kabhi aansu baha sakta nahin
tujh se milne ki tamanna hai ki tujh se rah ke dur
e'tibar-e-hasti-e-mauhum aa sakta nahin
'lais' main rakhta hun pahlu mein dil-e-dard-ashna
bhul kar bhi main kisi ka dil dukha sakta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.