muskurao ki eid ho jae
muskurāo ki eid ho jaa.e
gungunāo ke eid ho jaa.e
apne chhoTe baḌoñ kī sab ġhalatī
bhuul jaao ki eid ho jaa.e
be-dilī se na yuuñ gale se lago
dil milāo ki eid ho jaa.e
gar tumheñ koī apnā kah de to
maan jaao ki eid ho jaa.e
jā ke apne baḌoñ ke qadmoñ meñ
sar jhukāo ki eid ho jaa.e
yuuñ to ghar meñ tamām mehmāñ haiñ
aap aao ki eid ho jaa.e
muskurao ki eid ho jae
gungunao ke eid ho jae
apne chhoTe baDon ki sab ghalati
bhul jao ki eid ho jae
be-dili se na yun gale se lago
dil milao ki eid ho jae
gar tumhein koi apna kah de to
man jao ki eid ho jae
ja ke apne baDon ke qadmon mein
sar jhukao ki eid ho jae
yun to ghar mein tamam mehman hain
aap aao ki eid ho jae
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.