muskuraati hui dhanak hai wahi
muskurātī huī dhanak hai vahī
is badan meñ chamak-damak hai vahī
phuul kumhlā ga.e ujāloñ ke
sāñvlī shaam meñ namak hai vahī
ab bhī chehra charāġh lagtā hai
bujh gayā hai magar chamak hai vahī
vo sarāpā diye kī lau jaisā
maiñ havā huuñ idhar lapak hai vahī
koī shīsha zarūr TuuTā hai
gungunātī huī khanak hai vahī
pyaar kis kā milā hai miTTī meñ
is chañbelī tale mahak hai vahī
muskuraati hui dhanak hai wahi
is badan mein chamak-damak hai wahi
phul kumhla gae ujalon ke
sanwli sham mein namak hai wahi
ab bhi chehra charagh lagta hai
bujh gaya hai magar chamak hai wahi
wo sarapa diye ki lau jaisa
main hawa hun idhar lapak hai wahi
koi shisha zarur TuTa hai
gungunati hui khanak hai wahi
pyar kis ka mila hai miTTi mein
is chanbeli tale mahak hai wahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.