muskuraunga gungunaunga
muskurāūñgā gungunāūñgā
maiñ tirā hausla baḌhā.ūñgā
rūThne kī adā nirālī hai
jab tū rūThegā, maiñ manā.ūñgā
qurbatoñ ke charāġh gul kar ke
fāsloñ ke diye jalā.ūñgā
jugnuoñ sā libās pahnūñgā
terī āñkhoñ meñ jhilmilā.ūñgā
mehrbāñ hogā jab vo jān-e-'kañval'
us kī gustāḳhiyāñ ginā.ūñgā
muskuraunga gungunaunga
main tera hausla baDhaunga
ruThne ki ada nirali hai
jab tu ruThega, main manaunga
qurbaton ke charagh gul kar ke
faslon ke diye jalaunga
jugnuon sa libas pahnunga
teri aankhon mein jhilmilaunga
mehrban hoga jab wo jaan-e-'kanwal'
us ki gustaKHiyan ginaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.