muslim hun par KHud pe qabu rahta hai
muslim huuñ par ḳhud pe qaabū rahtā hai
mere andar bhī ik hindū rahtā hai
koī jādūgar ke baazū kaaT bhī de
us ke haath meñ phir bhī jaadū rahtā hai
raat ga.e tak bachche dauḌte rahte haiñ
mere kamre meñ ik jugnū rahtā hai
'mīr' kā dīvāna 'ġhālib' kā shaidā.ī
merī bastī meñ ik sādhū rahtā hai
us ke laboñ par english vinglish rahtī hai
mere hoñT pe urdu urdu rahtā hai
aql hazāroñ bhes badaltī rahtī hai
ye dil mar jaane tak buddhū rahtā hai
muslim hun par KHud pe qabu rahta hai
mere andar bhi ek hindu rahta hai
koi jadugar ke bazu kaT bhi de
us ke hath mein phir bhi jadu rahta hai
raat gae tak bachche dauDte rahte hain
mere kamre mein ek jugnu rahta hai
'mir' ka diwana 'ghaalib' ka shaidai
meri basti mein ek sadhu rahta hai
us ke labon par english winglish rahti hai
mere honT pe urdu urdu rahta hai
aql hazaron bhes badalti rahti hai
ye dil mar jaane tak buddhu rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.