mustamindan ko sataya na karo
mustamindāñ ko satāyā na karo
baat ko ham se durāyā na karo
dil shikanje meñ na Daalo merā
zulf ko gūñdh banāyā na karo
husn-e-be-sāḳhta bhātā hai mujhe
surma añkhiyāñ meñ lagāyā na karo
tum se mujh dil ko bahut hai ummīd
mujh se miskīñ ko kuḌhāyā na karo
be-dilāñ suuñ na phirā do mukhḌā
ham se tum aañkh churāyā na karo
muḳhlis apne ko na maaro nāhaq
haqq-e-iḳhlās bhulāyā na karo
ishq meñ 'fā.ez'-e-shaidā mumtāz
is kuuñ sab saath milāyā na karo
mustamindan ko sataya na karo
baat ko hum se duraya na karo
dil shikanje mein na Dalo mera
zulf ko gundh banaya na karo
husn-e-be-saKHta bhata hai mujhe
surma ankhiyan mein lagaya na karo
tum se mujh dil ko bahut hai ummid
mujh se miskin ko kuDhaya na karo
be-dilan sun na phira do mukhDa
hum se tum aankh churaya na karo
muKHlis apne ko na maro nahaq
haqq-e-iKHlas bhulaya na karo
ishq mein 'faez'-e-shaida mumtaz
is kun sab sath milaya na karo
- Dewan-e-Faiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.