mustaqbil ke KHwab sajaana mushkil hai
mustaqbil ke ḳhvāb sajānā mushkil hai
ab yādoñ se dil bahlānā mushkil hai
jin galiyoñ meñ yaar kā dāman chhūTā thā
un galiyoñ meñ ānā-jānā mushkil hai
kuchh kirdār nibhā.e itnī shiddat se
merā apne aap meñ aanā mushkil hai
āvāzoñ se zaḳhm hue haiñ kuchh aise
sannāToñ ko bhī sun paanā mushkil hai
aañsū to chhup sakte haiñ is duniyā se
lekin dil kī aah chhupānā mushkil hai
ġhaflat ke jo lamhe zillat de jaa.eñ
un lamhoñ kā bojh uThānā mushkil hai
maqtal meñ ik shart uThī thī tauba kī
hañs kar bolā ik dīvānā mushkil hai
is duniyā meñ sab kuchh āsāñ hai 'kāfir'
bas ik sachchā ishq kamānā mushkil hai
mustaqbil ke KHwab sajaana mushkil hai
ab yaadon se dil bahlana mushkil hai
jin galiyon mein yar ka daman chhuTa tha
un galiyon mein aana-jaana mushkil hai
kuchh kirdar nibhae itni shiddat se
mera apne aap mein aana mushkil hai
aawazon se zaKHm hue hain kuchh aise
sannaTon ko bhi sun pana mushkil hai
aansu to chhup sakte hain is duniya se
lekin dil ki aah chhupana mushkil hai
ghaflat ke jo lamhe zillat de jaen
un lamhon ka bojh uThana mushkil hai
maqtal mein ek shart uThi thi tauba ki
hans kar bola ek diwana mushkil hai
is duniya mein sab kuchh aasan hai 'kafir'
bas ek sachcha ishq kamana mushkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.