mustaqil mahrumiyon par bhi to dil mana nahin
mustaqil mahrūmiyoñ par bhī to dil maanā nahīñ
laakh samjhāyā ki is mahfil meñ ab jaanā nahīñ
ḳhud-farebī hī sahī kyā kījiye dil kā ilaaj
tū nazar phere to ham samjheñ ki pahchānā nahīñ
ek duniyā muntazir hai aur terī bazm meñ
is tarah baiThe haiñ ham jaise kahīñ jaanā nahīñ
jī meñ jo aatī hai kar guzro kahīñ aisā na ho
kal pashemāñ hoñ ki kyuuñ dil kā kahā maanā nahīñ
zindagī par is se baḌh kar tanz kyā hogā 'farāz'
us kā ye kahnā ki tū shā.er hai dīvānā nahīñ
mustaqil mahrumiyon par bhi to dil mana nahin
lakh samjhaya ki is mahfil mein ab jaana nahin
KHud-farebi hi sahi kya kijiye dil ka ilaj
tu nazar phere to hum samjhen ki pahchana nahin
ek duniya muntazir hai aur teri bazm mein
is tarah baiThe hain hum jaise kahin jaana nahin
ji mein jo aati hai kar guzro kahin aisa na ho
kal pasheman hon ki kyun dil ka kaha mana nahin
zindagi par is se baDh kar tanz kya hoga 'faraaz'
us ka ye kahna ki tu shaer hai diwana nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.