mutarannim hai meri ruh mein yun teri sada
mutarannim hai mirī ruuh meñ yuuñ terī sadā
ābshāroñ kī sukūñ-rez ravānī jaise
nūr-o-nik.hat meñ nahāyā huā vo terā kalām
rūd-e-kausar kā chamaktā huā paanī jaise
merī palkoñ pe haiñ yuuñ gauhar-e-shabnam ġhaltāñ
mere hoñToñ pe ho phūloñ kī kahānī jaise
mere sāñsoñ meñ machaltī hai hinā kī ḳhushbū
terī nau-ḳhez mohabbat kī nishānī jaise
kitnā ḳhush-rañg hai ma.asūm tabassum terā
muskurātī ho bahāroñ kī javānī jaise
bas gayā mere tasavvur meñ hayūlā terā
zehn-e-shā.ir meñ koī yaad suhānī jaise
dil ke āñgan meñ ubhartā hai tirā aks-e-jamīl
chāñdnī-rāt meñ ho raat kī raanī jaise
mutarannim hai meri ruh mein yun teri sada
aabshaaron ki sukun-rez rawani jaise
nur-o-nikhat mein nahaya hua wo tera kalam
rud-e-kausar ka chamakta hua pani jaise
meri palkon pe hain yun gauhar-e-shabnam ghaltan
mere honTon pe ho phulon ki kahani jaise
mere sanson mein machalti hai hina ki KHushbu
teri nau-KHez mohabbat ki nishani jaise
kitna KHush-rang hai masum tabassum tera
muskuraati ho bahaaron ki jawani jaise
bas gaya mere tasawwur mein hayula tera
zehn-e-shair mein koi yaad suhani jaise
dil ke aangan mein ubharta hai tera aks-e-jamil
chandni-raat mein ho raat ki rani jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.