muTThi-bhar log to yaksu bhi nazar aae hain
muTThī-bhar log to yaksū bhī nazar aa.e haiñ
ishq meñ hirs ke pahlū bhī nazar aa.e haiñ
is kā matlab hai palaT aa.iiñ bahāreñ phir se
mausamī pankh pakherū bhī nazar aa.e haiñ
muskurāhaT to use saaf dikhā.ī dī hai
kyā mirī aañkh meñ aañsū bhī nazar aa.e haiñ
aap ke jaane se mumtāz hue dūsre log
chāñd Duubā hai to jugnū bhī nazar aa.e haiñ
be-sabab kaun uḌātā hai sar-e-dasht ġhubār
qais ke des meñ aahū bhī nazar aa.e haiñ
muTThi-bhar log to yaksu bhi nazar aae hain
ishq mein hirs ke pahlu bhi nazar aae hain
is ka matlab hai palaT aain bahaaren phir se
mausami pankh pakheru bhi nazar aae hain
muskurahaT to use saf dikhai di hai
kya meri aankh mein aansu bhi nazar aae hain
aap ke jaane se mumtaz hue dusre log
chand Duba hai to jugnu bhi nazar aae hain
be-sabab kaun uData hai sar-e-dasht ghubar
qais ke des mein aahu bhi nazar aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.