Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muTThi mein chhupate hain guhar bolte kam hain

Shareef Ahmad Shareef

muTThi mein chhupate hain guhar bolte kam hain

Shareef Ahmad Shareef

MORE BYShareef Ahmad Shareef

    muTThī meñ chhupāte haiñ guhar bolte kam haiñ

    jo log ki rakhte haiñ hunar bolte kam haiñ

    ab shoḳhī-e-guftār azīzoñ meñ nahīñ hai

    milte haiñ sar-e-rāh magar bolte kam haiñ

    ashkoñ se kuchh haal ayaañ ho to ayaañ ho

    ushshāq to ai dīda-e-tar bolte kam haiñ

    lagtā hai ki ġhāfil haiñ zamāne se ye darvesh

    rakhte haiñ do-ālam ḳhabar bolte kam haiñ

    is fan meñ 'sharīf' aap yaktā to nahīñ haiñ

    haiñ ahl-e-suḳhan aur bhī par bolte kam haiñ

    muTThi mein chhupate hain guhar bolte kam hain

    jo log ki rakhte hain hunar bolte kam hain

    ab shoKHi-e-guftar azizon mein nahin hai

    milte hain sar-e-rah magar bolte kam hain

    ashkon hi se kuchh haal ayan ho to ayan ho

    ushshaq to ai dida-e-tar bolte kam hain

    lagta hai ki ghafil hain zamane se ye darwesh

    rakhte hain do-alam ki KHabar bolte kam hain

    is fan mein 'sharif' aap hi yakta to nahin hain

    hain ahl-e-suKHan aur bhi par bolte kam hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now