musa hain hamin jalwa-e-didar hamin hain
muusā haiñ hamīñ jalva-e-dīdār hamīñ haiñ
haiñ tuur hamīñ nuur hamīñ naar hamīñ haiñ
mansūr hamīñ haiñ suḳhan-e-yār hamīñ haiñ
qaazī haiñ hamīñ shar.a hamīñ daar hamīñ haiñ
kāfir jise kahte haiñ hamīñ se hai ishāra
momin hai ġharaz jis se vo dīñ-dār hamīñ haiñ
firdaus agar hai to hamāre hī liye hai
dozaḳh ke agar haiñ to sazā-vār hamīñ haiñ
haiñ dād-o-sitad donoñ ye bande hī kī shāneñ
baa.e haiñ hamīñ aur ḳharīdār hamīñ haiñ
mar jaane se jo hijr meñ ḳhush hai vo hamīñ haiñ
jiine se jo furqat meñ hai bezār hamīñ haiñ
qāsid haiñ hamīñ aur hamīñ kātib-e-nāma
dil-dār hamīñ nāma-e-dildār hamīñ haiñ
nasūt jo maskan hai to lāhūt ghar apnā
ḳhalvat meñ hamīñ barsar-e-bāzār hamīñ haiñ
mashshāta hamīñ aur hamīñ shāna-o-gesū
ā.īna hamīñ aks-e-ruḳh-e-yār hamīñ haiñ
kahte haiñ jise kufr vo ik shaan hai apnī
islām jise kahte haiñ abrār hamīñ haiñ
nāqūs kī āvāz hamārī hī sadā hai
takbīr ke alfāz meñ har baar hamīñ haiñ
dariyā meñ hamīñ aur hamīñ mauj-o-sadaf haiñ
qatra haiñ hamīñ gauhar-e-shahvār hamīñ haiñ
'akbar' jo hai masjūd-e-do-ālam vo vahī hai
sajde ke agar haiñ to sazā-vār hamīñ haiñ
musa hain hamin jalwa-e-didar hamin hain
hain tur hamin nur hamin nar hamin hain
mansur hamin hain suKHan-e-yar hamin hain
qazi hain hamin shara hamin dar hamin hain
kafir jise kahte hain hamin se hai ishaara
momin hai gharaz jis se wo din-dar hamin hain
firdaus agar hai to hamare hi liye hai
dozaKH ke agar hain to saza-war hamin hain
hain dad-o-sitad donon ye bande hi ki shanen
bae hain hamin aur KHaridar hamin hain
mar jaane se jo hijr mein KHush hai wo hamin hain
jine se jo furqat mein hai bezar hamin hain
qasid hain hamin aur hamin katib-e-nama
dil-dar hamin nama-e-dildar hamin hain
nasut jo maskan hai to lahut ghar apna
KHalwat mein hamin barsar-e-bazar hamin hain
mashshata hamin aur hamin shana-o-gesu
aaina hamin aks-e-ruKH-e-yar hamin hain
kahte hain jise kufr wo ek shan hai apni
islam jise kahte hain abrar hamin hain
naqus ki aawaz hamari hi sada hai
takbir ke alfaz mein har bar hamin hain
dariya mein hamin aur hamin mauj-o-sadaf hain
qatra hain hamin gauhar-e-shahwar hamin hain
'akbar' jo hai masjud-e-do-alam wo wahi hai
sajde ke agar hain to saza-war hamin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.