myan kya ho gar abru-e-KHamdar ko dekha
myan kya ho gar abru-e-KHamdar ko dekha
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
myaañ kyā ho gar abrū-e-ḳhamdār ko dekhā
kyuuñ merī taraf dekh ke talvār ko dekhā
āñkheñ mirī phūTeñ tirī āñkhoñ ke baġhair aah
gar maiñ ne kabhī nargis-e-bīmār ko dekhā
dekhe na mire ashk-e-musalsal kabhī tum ne
apnī hī sadā motiyoñ ke haar ko dekhā
itvār ko aanā tirā mā'lūm ki ik 'umr
be-pīr tire ham ne hī atvār ko dekhā
dekhā na kabhū kūcha-e-dildār ko rangīñ
bas ham ne bhī is dīda-e-ḳhūñ-bār ko dekhā
us meñ bhī dar-andāzoñ ne sau raḳhne nikāle
'ehsāñ' ne jo us raḳhna-e-dīvār ko dekhā
myan kya ho gar abru-e-KHamdar ko dekha
kyun meri taraf dekh ke talwar ko dekha
aankhen meri phuTen teri aankhon ke baghair aah
gar main ne kabhi nargis-e-bimar ko dekha
dekhe na mere ashk-e-musalsal kabhi tum ne
apni hi sada motiyon ke haar ko dekha
itwar ko aana tera ma'lum ki ek 'umr
be-pir tere hum ne hi atwar ko dekha
dekha na kabhu kucha-e-dildar ko rangin
bas hum ne bhi is dida-e-KHun-bar ko dekha
us mein bhi dar-andazon ne sau raKHne nikale
'ehsan' ne jo us raKHna-e-diwar ko dekha
- Kulliyat-e-Ehsan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.