na aarzu-e-jafa ba-qadam nikal ke chal
na ārzu-e-jafā ba-qadam nikāl ke chal
paḌe haiñ raah meñ kuchh dil bhī dekh bhaal ke chal
chalā jo hashr meñ maiñ sun ke āmad-e-jānāñ
ye iztirāb pukārā ki dil sambhāl ke chal
are ye hashr meñ haiñ saiñkaḌoñ tire mushtāq
yahāñ pe ham bhī haiñ raazī naqāb Daal ke chal
adam kā qasd hai bahr-e-jahāñ se gar 'jāved'
hisāb-dār zamāne ko dekh bhaal ke chal
na aarzu-e-jafa ba-qadam nikal ke chal
paDe hain rah mein kuchh dil bhi dekh bhaal ke chal
chala jo hashr mein main sun ke aamad-e-jaanan
ye iztirab pukara ki dil sambhaal ke chal
are ye hashr mein hain sainkaDon tere mushtaq
yahan pe hum bhi hain raazi naqab Dal ke chal
adam ka qasd hai bahr-e-jahan se gar 'jawed'
hisab-dar zamane ko dekh bhaal ke chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.