na aarzuon ka chand chamka na qurbaton ke gulab mahke
na aarzuon ka chand chamka na qurbaton ke gulab mahke
Hasan Abbas Raza
MORE BYHasan Abbas Raza
na ārzūoñ kā chāñd chamkā na qurbatoñ ke gulāb mahke
na hijratoñ kā 'azāb sahte hue musāfir gharoñ ko lauTe
na āñganoñ meñ daraḳht-e-jāñ par visāl-mausam kā bor jaagā
na Daalī Daalī kisī parinde ne ḳhushbuoñ ke tarāne chheḌe
varaq varaq zā.ichoñ meñ tahrīr ek se the javāb lekin
savāl chakhne kī ḳhaam ḳhvāhish meñ ham ne kyā kyā 'azāb chakkhe
bas ek Dhalvān darmiyāñ hai aur us se aage khulā jahannam
na jaane kis pal kī ek laġhzish 'azāb sadiyāñ sameT laa.e
hameñ ḳhabar hai ki apne ghar ke charāġh koī ghaḌī haiñ lekin
hameñ yaqīñ hai ki raushnī kī naved sunñe talak jaleñge
qabīle vaalo uTho! aur apnā bachāv kar lo, ki maiñ ne kal shab
fasīl-e-shahr-e-amāñ ke bāhar naqab-zanoñ ke giroh dekhe
na aarzuon ka chand chamka na qurbaton ke gulab mahke
na hijraton ka 'azab sahte hue musafir gharon ko lauTe
na aanganon mein daraKHt-e-jaan par visal-mausam ka bor jaga
na Dali Dali kisi parinde ne KHushbuon ke tarane chheDe
waraq waraq zaichon mein tahrir ek se the jawab lekin
sawal chakhne ki KHam KHwahish mein hum ne kya kya 'azab chakkhe
bas ek Dhalwan darmiyan hai aur us se aage khula jahannam
na jaane kis pal ki ek laghzish 'azab sadiyan sameT lae
hamein KHabar hai ki apne ghar ke charagh koi ghaDi hain lekin
hamein yaqin hai ki raushni ki nawed sunne talak jalenge
qabile walo uTho! aur apna bachaw kar lo, ki main ne kal shab
fasil-e-shahr-e-aman ke bahar naqab-zanon ke giroh dekhe
- Book : Pakistani Adab (Pg. 429)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.