Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na aasman se na dushman ke zor o zar se hua

Amjad Islam Amjad

na aasman se na dushman ke zor o zar se hua

Amjad Islam Amjad

na āsmāñ se na dushman ke zor o zar se huā

ye mo'jiza to mire dast-e-be-hunar se huā

qadam uThā hai to paañv tale zamīñ nahīñ

safar ranj hameñ ḳhvāhish-e-safar se huā

maiñ bhiig bhiig gayā aarzū bārish meñ

vo 'aks 'aks meñ taqsīm chashm-e-tar se huā

siyāhī shab na chehroñ pe aa ga.ī ho kahīñ

sahar ḳhauf hameñ ā.inoñ ke Dar se huā

koī chale to zamīñ saath saath chaltī hai

ye raaz ham pe 'ayāñ gard-e-rahguzar se huā

tire badan mahak na thī to kyā rukte

guzar hamārā ka.ī baar yuuñ to ghar se huā

kahāñ pe so.e the 'amjad' kahāñ khulīñ āñkheñ

gumāñ qafas hameñ apne bām-o-dar se huā

na aasman se na dushman ke zor o zar se hua

ye mo'jiza to mere dast-e-be-hunar se hua

qadam uTha hai to panw tale zamin hi nahin

safar ka ranj hamein KHwahish-e-safar se hua

main bhig bhig gaya aarzu ki barish mein

wo 'aks 'aks mein taqsim chashm-e-tar se hua

siyahi shab ki na chehron pe aa gai ho kahin

sahar ka KHauf hamein aainon ke Dar se hua

koi chale to zamin sath sath chalti hai

ye raaz hum pe 'ayan gard-e-rahguzar se hua

tere badan ki mahak hi na thi to kya rukte

guzar hamara kai bar yun to ghar se hua

kahan pe soe the 'amjad' kahan khulin aankhen

guman qafas ka hamein apne baam-o-dar se hua

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

na aasman se na dushman ke zor o zar se hua Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now