na aaya aaj bhi sab khel apna miTTi hai
na aayā aaj bhī sab khel apnā miTTī hai
tamām raat ye sar aur palañg kī paTTī hai
jabīñ pe qahr na tanhā siyāh paTTī hai
bhavoñ kī teġh bhī kāfir baḌī hī kaTTī hai
phuñkī nikaltī haiñ ashkoñ kī shīshiyāñ yaaro
hamāre siine meñ kis shīshagar kī bhaTTī hai
gale lagā.iye muñh chūmiye sulā rakhiye
hamāre dil meñ bhī kyā kyā havas ikhaTTī hai
koī hijāb nahīñ tujh meñ aur sanam meñ 'nazīr'
magar tū aap hī parda aur aapī TaTTī hai
na aaya aaj bhi sab khel apna miTTi hai
tamam raat ye sar aur palang ki paTTi hai
jabin pe qahr na tanha siyah paTTi hai
bhawon ki tegh bhi kafir baDi hi kaTTi hai
phunki nikalti hain ashkon ki shishiyan yaro
hamare sine mein kis shishagar ki bhaTTi hai
gale lagaiye munh chumiye sula rakhiye
hamare dil mein bhi kya kya hawas ikhaTTi hai
koi hijab nahin tujh mein aur sanam mein 'nazir'
magar tu aap hi parda aur aapi TaTTi hai
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.