na aaya kabhi main tere aastan par
na aayā kabhī maiñ tire āstāñ par
bhaTaktā rahā bas yahāñ aur vahāñ par
tirī yaad ne dil to raushan kiyā thā
lagāyā magar qufl merī zabāñ par
kabhī fikr-e-fardā kabhī yād-e-māzī
har ik din nayā baar mujh nā-tavāñ par
sunā.ī sar-e-anjuman jo thī tū ne
koī shaḳhs royā thā is dāstāñ par
ise shā.irī tum kaho to kaho par
kahe sher maiñ ne haiñ dil kī fuġhāñ par
'zohaib' ham mashaqqat se ghabrā.e kab the
magar dil dukhī hai to kār-e-ziyāñ par
na aaya kabhi main tere aastan par
bhaTakta raha bas yahan aur wahan par
teri yaad ne dil to raushan kiya tha
lagaya magar qufl meri zaban par
kabhi fikr-e-farda kabhi yaad-e-mazi
har ek din naya bar mujh na-tawan par
sunai sar-e-anjuman jo thi tu ne
koi shaKHs roya tha is dastan par
ise shairi tum kaho to kaho par
kahe sher main ne hain dil ki fughan par
'zohaib' hum mashaqqat se ghabrae kab the
magar dil dukhi hai to kar-e-ziyan par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.