na ada mujhse hua us sitam-ijad ka haq
na ada mujhse hua us sitam-ijad ka haq
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
na adā mujh se huā us sitam-ījād kā haq
merī gardan pe rahā ḳhanjar-e-bedād kā haq
nāseho gar na sunūñ maiñ mirī qismat kā qusūr
tum ne irshād kiyā jo ki hai irshād kā haq
yaad to haq kī tujhe yaad hī par yaad rahī
yaar dushvār hai vo yaad jo hai yaad kā haq
apnī tasvīr pe sadqe tire sadqe kar use
isī sūrat se adā hovegā bahzād kā haq
haq ko bātil koī kis tarah se kah de ai but
kahīñ saanī nahīñ us husn-e-ḳhudā-dād kā haq
jāñ-kanī pesha ho jis kā vo lahaq hai terā
tujh pe shīrīñ hai na ḳhusrav kā na farhād kā haq
bār-e-ehsāñ se nahīñ sar bhī uThā saktā huuñ
mere sar par hī rahā us mire jallād kā haq
sun ke kahtā hai yahāñ kaun hai suntā mat sun
sunñe vaalā hī sunā is mirī fariyād kā haq
vahī insān hai 'ehsāñ' ki jise ilm hai kuchh
haq ye hai baap se afzūñ rahe ustād kā haq
na ada mujh se hua us sitam-ijad ka haq
meri gardan pe raha KHanjar-e-bedad ka haq
naseho gar na sunun main meri qismat ka qusur
tum ne irshad kiya jo ki hai irshad ka haq
yaad to haq ki tujhe yaad hi par yaad rahi
yar dushwar hai wo yaad jo hai yaad ka haq
apni taswir pe sadqe tere sadqe kar use
isi surat se ada howega bahzad ka haq
haq ko baatil koi kis tarah se kah de ai but
kahin sani nahin us husn-e-KHuda-dad ka haq
jaan-kani pesha ho jis ka wo lahaq hai tera
tujh pe shirin hai na KHusraw ka na farhad ka haq
bar-e-ehsan se nahin sar bhi uTha sakta hun
mere sar par hi raha us mere jallad ka haq
sun ke kahta hai yahan kaun hai sunta mat sun
sunne wala hi suna is meri fariyaad ka haq
wahi insan hai 'ehsan' ki jise ilm hai kuchh
haq ye hai bap se afzun rahe ustad ka haq
- Kulliyat-e-Ehsan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.