na baam-o-dasht na dariya na kohsar mile
na bām-o-dasht na dariyā na kohsār mile
junūñ kī raah thī hālāt sāzgār mile
laboñ pe harf-e-shikāyat bhī aa ke TuuT gayā
vo ḳhud figār the jo haath sañg-bār mile
udhar fasīl-e-shab-e-ġham idhar hai shahr-e-panāh
sabā se kahiyo vahīñ aa ke ek baar mile
ye bebasī to mire 'ahd kā muqaddar thī
diloñ ko dāġh-e-tamannā bhī musta'ār mile
hatheliyoñ pe charāġh-e-duā sajā.e hue
mile nigār-e-bahārāñ to sharmsār mile
koī to rāh-e-tamannā meñ ham-safar hotā
koī to kū-e-vafā meñ ḳhatā-shi.ār mile
mohabbatoñ se to pahle hī kyā tavaqqo' thī
muravvatoñ ke bhī dāmān taar taar mile
maiñ kaise apne ḳhad-o-ḳhāl aaj pahchānūñ
jo ā.īna mile ālūda-e-ġhubār mile
mirī talab kī ye me'rāj hai ki 'ijz 'adā'
jidhar se guzrūñ vahī ek rahguzār mile
na baam-o-dasht na dariya na kohsar mile
junun ki rah thi haalat sazgar mile
labon pe harf-e-shikayat bhi aa ke TuT gaya
wo KHud figar the jo hath sang-bar mile
udhar fasil-e-shab-e-gham idhar hai shahr-e-panah
saba se kahiyo wahin aa ke ek bar mile
ye bebasi to mere 'ahd ka muqaddar thi
dilon ko dagh-e-tamanna bhi musta'ar mile
hatheliyon pe charagh-e-dua sajae hue
mile nigar-e-bahaaran to sharmsar mile
koi to rah-e-tamanna mein ham-safar hota
koi to ku-e-wafa mein KHata-shiar mile
mohabbaton se to pahle hi kya tawaqqo' thi
murawwaton ke bhi daman tar tar mile
main kaise apne KHad-o-KHal aaj pahchanun
jo aaina mile aaluda-e-ghubar mile
meri talab ki ye me'raj hai ki 'ijz 'ada'
jidhar se guzrun wahi ek rahguzar mile
- Book : Gazalan Tum to waqif ho (Pg. 107)
- Author : Ada Jafri
- Publication : Galib Publishers, Lahore (1982)
- Edition : 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.