na banda na maula ajab aadmi hai
na banda na maulā ajab aadmī hai
mire shahr kā muntaḳhab aadmī hai
bikharte hue log hairāñ pareshāñ
koī aadmī rab na rab aadmī hai
uThā.e phirūñ haft-aflāk sar par
zamīñ ko shikāyat ajab aadmī hai
bhale log shā.ir ko samjhā rahe haiñ
kharā aadmī be-talab aadmī hai
ki tū kaun thā kaun hai kyā batā.ūñ
na insān tab thā na ab aadmī hai
na banda na maula ajab aadmi hai
mere shahr ka muntaKHab aadmi hai
bikharte hue log hairan pareshan
koi aadmi rab na rab aadmi hai
uThae phirun haft-aflak sar par
zamin ko shikayat ajab aadmi hai
bhale log shair ko samjha rahe hain
khara aadmi be-talab aadmi hai
ki tu kaun tha kaun hai kya bataun
na insan tab tha na ab aadmi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.