na bikhraya karo tum baiThe baiThe zulf-e-pechan ko
na bikhraya karo tum baiThe baiThe zulf-e-pechan ko
Nashtar Chaprawi
MORE BYNashtar Chaprawi
na bikhrāyā karo tum baiThe baiThe zulf-e-pechāñ ko
ḳhudā ke vāste dekho mire hāl-e-pareshāñ ko
ajab andāz se pis pis ke hoñToñ se nikaltī hai
karūñ qurbān terī ik nahīñ par saiñkaḌoñ haañ ko
ḳhudā jaane mazā aatā hai kyā is meñ ki hañs hañs kar
vo pahroñ dekhte rahte haiñ mere zaḳhm-e-ḳhandāñ ko
unheñ phir is ne bhaḌkāyā hue garm-e-jafā phir vo
ilāhī aag lag jaa.e hamārī chashm-e-giryāñ ko
qayāmat kā samāñ phirne lagā hai merī āñkhoñ meñ
ki jab se maiñ ne dekhā hai kisī kī chashm-e-fattāñ ko
baḌhī dīvāngī merī kuchh aisī ishq-e-gesū meñ
ki mere naam se hotī hai vahshat ab bayābāñ ko
ga.e vo din manāte the kisī ke saath ham sāvan
ki ab to dekhte rahte haiñ apnī chashm-e-giryāñ ko
abhī to hai shurūa-e-fasl-e-gul josh-e-junūñ taaza
rafū kyoñ log karte haiñ mire chāk-e-garebāñ ko
tire aate hī jhāḌū phir ga.ī kis kis ko ro.eñ ham
alam ko yaas ko hasrat ko betābi ko armāñ ko
mire shevan se to āzurda the phir ro diye āḳhir
nazar aaya jo maiñ jaatā huā shahr-e-ḳhamoshāñ ko
baḌhe phir nāḳhun-e-vahshat ki ayyām-e-bahār aa.e
zarā hushiyār rahnā ai hamāre zaḳhm ke Tāñko
mirī āñkheñ hī dushman ho ga.iiñ haq meñ mire āḳhir
isī raste utārā us ne dil meñ tīr-e-mizhgāñ ko
balā se gar hamārī jān-e-muztar par gire bijlī
usī andāz se ik baar phir ġhurfe se tum jhāñko
huī jaatī hai kyā kyā loT is par rahmat-e-bārī
koī dekhe to mahshar meñ hamārī sharm-e-isyāñ ko
na rakkhā jaane ke qābil mujhe betābī-e-dil ne
kiyā thā maiñ ne kis mushkil se raazī us ke darbāñ ko
mujhe sar phoḌne kī aarzū thī yuuñ huī puurī
girāyā sar pe sail-e-ashk ne dīvār-e-zindāñ ko
mire girya kī tuġhyānī hai goyā nuuh kā tūfāñ
girāyā sar pe sail-e-ashk ne dīvār-e-zindāñ ko
kisī yūsuf-liqā kī yaad meñ royā huuñ maiñ itnā
girāyā sar pe sail-e-ashk ne dīvār-e-zindāñ ko
mirā be-ḳhānumāñ honā mirī qismat meñ likkhā thā
girāyā sar pe sail-e-ashk ne dīvār-e-zindāñ ko
mirī jānib se hai dil meñ ġhubār us be-muravvat ke
nikālegā vo phir kyā ḳhaak mere dil ke armāñ ko
ḳhalish kā zā.iqa madd-e-nazar hai mujh ko ai hamdam
jagah kyūñkar na duuñ dil meñ kisī kī nok-e-mizhgāñ ko
vo aa.e to miTe jaate haiñ kyoñ ye mājrā kyā hai
ilāhī ho gayā ye kyā mirī hasrat ko armāñ ko
phaḌaktī hai rag-e-gardan mirī kyoñ aaj phir 'nashtar'
chaḌhāyā saan par qātil ne shāyad teġh-e-burrāñ ko
na bikhraya karo tum baiThe baiThe zulf-e-pechan ko
KHuda ke waste dekho mere haal-e-pareshan ko
ajab andaz se pis pis ke honTon se nikalti hai
karun qurban teri ek nahin par sainkaDon han ko
KHuda jaane maza aata hai kya is mein ki hans hans kar
wo pahron dekhte rahte hain mere zaKHm-e-KHandan ko
unhen phir is ne bhaDkaya hue garm-e-jafa phir wo
ilahi aag lag jae hamari chashm-e-giryan ko
qayamat ka saman phirne laga hai meri aankhon mein
ki jab se main ne dekha hai kisi ki chashm-e-fattan ko
baDhi diwangi meri kuchh aisi ishq-e-gesu mein
ki mere nam se hoti hai wahshat ab bayaban ko
gae wo din manate the kisi ke sath hum sawan
ki ab to dekhte rahte hain apni chashm-e-giryan ko
abhi to hai shurua-e-fasl-e-gul josh-e-junun taza
rafu kyon log karte hain mere chaak-e-gareban ko
tere aate hi jhaDu phir gai kis kis ko roen hum
alam ko yas ko hasrat ko betabi ko arman ko
mere shewan se to aazurda the phir ro diye aaKHir
nazar aaya jo main jata hua shahr-e-KHamoshan ko
baDhe phir naKHun-e-wahshat ki ayyam-e-bahaar aae
zara hushiyar rahna ai hamare zaKHm ke Tanko
meri aankhen hi dushman ho gain haq mein mere aaKHir
isi raste utara us ne dil mein tir-e-mizhgan ko
bala se gar hamari jaan-e-muztar par gire bijli
usi andaz se ek bar phir ghurfe se tum jhanko
hui jati hai kya kya loT is par rahmat-e-bari
koi dekhe to mahshar mein hamari sharm-e-isyan ko
na rakkha jaane ke qabil mujhe betabi-e-dil ne
kiya tha main ne kis mushkil se raazi us ke darban ko
mujhe sar phoDne ki aarzu thi yun hui puri
giraya sar pe sail-e-ashk ne diwar-e-zindan ko
mere girya ki tughyani hai goya nuh ka tufan
giraya sar pe sail-e-ashk ne diwar-e-zindan ko
kisi yusuf-liqa ki yaad mein roya hun main itna
giraya sar pe sail-e-ashk ne diwar-e-zindan ko
mera be-KHanuman hona meri qismat mein likkha tha
giraya sar pe sail-e-ashk ne diwar-e-zindan ko
meri jaanib se hai dil mein ghubar us be-murawwat ke
nikalega wo phir kya KHak mere dil ke arman ko
KHalish ka zaiqa madd-e-nazar hai mujh ko ai hamdam
jagah kyunkar na dun dil mein kisi ki nok-e-mizhgan ko
wo aae to miTe jate hain kyon ye majra kya hai
ilahi ho gaya ye kya meri hasrat ko arman ko
phaDakti hai rag-e-gardan meri kyon aaj phir 'nashtar'
chaDhaya san par qatil ne shayad tegh-e-burran ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.