na bulao mujhe KHuda ki taraf
na bulāo mujhe ḳhudā kī taraf
maiñ usī kī huuñ bandagī meñ lagī
jis meñ thī jañgaloñ kī be-nazmī
vo numā.ish bhī shahr hī meñ lagī
raat maiñ ne paḌhī jo dhuup kī nazm
be-maza un ko chāñdnī meñ lagī
jām-e-suqrāt kyā piyā maiñ ne
pyaas mujh ko na zindagī meñ lagī
aur kuchh kaam bhī karūñ 'parvīn'
tum to ho sirf shā.irī meñ lagī
na bulao mujhe KHuda ki taraf
main usi ki hun bandagi mein lagi
jis mein thi jangalon ki be-nazmi
wo numaish bhi shahr hi mein lagi
raat main ne paDhi jo dhup ki nazm
be-maza un ko chandni mein lagi
jam-e-suqraat kya piya main ne
pyas mujh ko na zindagi mein lagi
aur kuchh kaam bhi karun 'parwin'
tum to ho sirf shairi mein lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.