na bulbul mein na parwane mein dekha
na bulbul meñ na parvāne meñ dekhā
jo saudā apne dīvāne meñ dekhā
barābar uus kī zulfoñ ke siyah-baḳht
maiñ apne baḳht ko shāne meñ dekhā
kisī hindū musalmāñ ne ḳhudā ko
na kā'be meñ na but-ḳhāne meñ dekhā
na kohistāñ meñ dekhā kohkan ne
na kuchh majnūñ ne vīrāne meñ dekhā
na askandar ne dekhā aa.ine meñ
na jam ne apne paimāne meñ dekhā
par us kī kunh ko koī na pahuñchā
jise dekhā so afsāne meñ dekhā
faqīroñ se sunā hai ham ne 'hātim'
mazā jiine kā mar jaane meñ dekhā
na bulbul mein na parwane mein dekha
jo sauda apne diwane mein dekha
barabar us ki zulfon ke siyah-baKHt
main apne baKHt ko shane mein dekha
kisi hindu musalman ne KHuda ko
na ka'be mein na but-KHane mein dekha
na kohistan mein dekha kohkan ne
na kuchh majnun ne virane mein dekha
na askandar ne dekha aaine mein
na jam ne apne paimane mein dekha
par us ki kunh ko koi na pahuncha
jise dekha so afsane mein dekha
faqiron se suna hai hum ne 'hatim'
maza jine ka mar jaane mein dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.